Sunday, April 12, 2009

Sunapan

Sunepan ki kahani hain yeh
ek udaas dil ki daastan
jo dhundta phirta hain har kisi mein
phir woh masoom si ada

ghar dhunde, shehar ghume
par na mila
woh ek chehra
jo legaya needein meri
aur chod gaya mujhko tanha

kis se kahe
aur kahe bhi to kya
talaash thi jiski
uska tha na koi naam
sirf ehsaas, ..
bas ek ehsaas..

No comments: